1st Love Packet

HUM AUR TUM

Yuhi Aankhon Se Aansu Bahte Nahi
Kisi Aur Ko Hum Apna Kahte Nahi
Ek Tum Hi Ho Jo Ruk Se gaye Ho Zindagi Mein
Varna Rukne Ke Liye Hum Kisi Ko Kahte Nahi



HUM AUR TUM

AAKHRI SAANS TAK

Hume aap ki jaan nahi sirf saath chahiye,
Sacche ishq ka sirf ek ehsaas chahiye,
Jaan toh ek pal mein di jaa sakti hain,
Par hume apki mohabbat aakhri sans tak chahiye…


AAKHRI SAANS TAK



 AAPKI ADA SE

Aapki Ada Se Hum Madhosh Ho Gaye,
Aap Ne Palat Kar Dekha To Hum Behosh Ho Gaye,
Yehi Ek Baat Kehni Thi Aapse,
Na Jaane Kyun Aapko Dekhthe Hi Hum Khamosh Ho Gaye.


AAPKI ADA SE



KHOOBSURAT SA RISHTA

Khoobsurat Sa Ek Pal Kissa Banjata Hai
Jane Kab Kaun Zindagi Ka Hissa Banjata Hai
Kuchh Log Zindagi Mein Milte Hai Aise
Jinse Kabhi Na Tutnewala Rishta Banjata Hai


KHOOBSURAT SA RISHTA



AAP HAMARI HO

Aap khud nahi janti aap kitni pyari ho
Jaan ho hamari par jaan se pyaari ho
Duriyon ke hone se koi fark nahi padta
Aap kal bhi hamari thi aaj bhi hamari ho…!!


AAP HAMARI HO



DIL KI HASRAT

Dil Ki Hasrat Zuban Pe Aane Lagi
Tune Dekha Aur Zindagi Muskurane Lagi
Yeh Ishq Ki Inteha Thi Ya Deewangi Meri
Har Soorat Mein Soorat Teri Nazar Aane Lagi.


DIL KI HASRAT

VO HASEEN RAAT

Na Jane Kab Wo Haseen Raat Hogi
Jab Unki Nigahein Humari Nigahon Ke Saath Hogi
Baithe Hai Hum Uss Raat Ke Intezaar Mein
Jab Unke Honthon Ki Surkhiyan Humare Honthon Ke Saath Hogi

VO HASEEN RAAT


TERI HUN

Kaise jee rahi hu nahi janti,
Kyun ab tak zinda hun nahi janti..
Maut ka kya hai aani hi hai ek din,
Tu kab aaega nahi janti…
Chahti hu sirf tujhe zamana janta hai,
Tu kab chahega nahi janti…
Teri thi teri hun teri hi rahungi,
Tu kab mera hoga nahi janti….

TERI HUN


TU MERI ZINDAGI

Wo aksar humse poochte the..
Zindagi kya or maut kya hai??
Hum dil hi dil mein kehte the,
Tujhe paa liya to zindagi, tujhe kho diya to maut..!!


TU MERI ZINDAGI


TERE NAAM KO

Tere naam ko apne hontho pe sajaya hai maine,
Teri ruh ko apne dil mein basaya hain maine,
Duniya tumhe dhundte dhundte ho jayegi pagal
Dil ke aise kone mein chhupaya hain maine.

TERE NAAM KO

0 comments:

Post a Comment